Shri Lakshmi Chalisa

Please keep visiting for updates.
Contact us on sudursamvedan@gmail.com for suggestions.
~~~~~~~~~~~~~
Doha

Maatu Lakshmi Kari Kripa, Karo Hriday Me Baas,
Manokamanaa Siddh Kari, Puravahu Meri Aas.

Soratha

Yahi Mor Aradaas, Haath Jod Vinati Karu,
Sab Vidhi Karau Supaas, Jay Janani Jagadambika.

Sindhu Suta Mein Sumirau Tohi, Gyaan Buddhi Vidya Do Mohi.
Tum Samaan Nahi Kou Upakaari, Sab Vidhi Puravahu Aas Hamaari.
Jai Jai Jai Janani Jagadamba, Sabaki Tum Hi Ho Avalamba.
Tum Hi Ho Ghat Ghat Ki Vaasi, Vinati Yahi Hamaari Khaasi.
Jag Janani Jay Sindhu Kumaari, Deenan Ki Tum Ho Hitakaari.
Vinavau Nitya Tumahi Maharani, Kripa Karau Jag Janani Bhavaani.
Kehi Vidhi Stuti Karau Tihaari, Sudhi Lijei Aparaadh Bisaari.
Kripa Drishti Chitavau Mam Ori, Jag Janani Vinati Sun Mori.
Gyaan Buddhi Jay Sukh Ki Data, Sankat Haro Hamaari Maata.
Kshir Sindhu Jab Vishnu Mathaayo, Chaudah Ratn Sindhu Me Paayo.
Chaudah Ratn Me Tum Sukhraasi, Sevaa Kiyo Prabhu Ban Daasi.
Jab Jab Janm Jaha Prabhu Linha, Roop Badal Tah Sevaa Kinha.
Svayam Vishnu Jab Nar Tanu Dhaara, Linheu Avadhpuri Avataara.
Tab Tum Pragat Janakpur Maahi, Sevaa Kiyo Hriday Pulakaahi.
Apanaaya Tohi Antaryaami, Vishvavidit Tribhuvan Ki Svaami.
Tum Sam Prabal Shakti Nahi Aani, Kahnlau Mahima Kahau Bakhaani.
Man Kram Vachan Karei Sevakaai, Man Ichchhit Vaanchhit Phal Paai.
Taji Chhal Kapat Aur Chaturaai, Poojahi Vividh Bhaanti Man Laai.
Aur Haal Mein Kahau Bujhaai, Jo Yah Paath Karei Man Laai.
Taako Koi Kasht Na Hoi, Man Ichchhit Paavei Phal Soi.
Traahi Traahi Jay Dukh Nivaarini, Trividh Taap Bhav Bandhan Haarini.
Jo Yah Padhe Aur Padhaave, Dhyaan Lagaakar Sunei Sunaave.
Taako Koi Na Rog Sataave, Putraadik Dhan Sampati Pave.
Putrahin Aru Sampatihina, Andh Badhir Kodhi Ati Deena.
Vipra Bolaay Kei Paath Karaavei, Shanka Dil Me Kabhi Na Laavei.
Paath Karaavei Din Chaalisa, Taa Par Kripa Karei Gaurisha.
Sukh Sampatti Bahut Si Paavei, Kami Nahi Kaahu Ki Aavei.
Baarah Maas Karei Jo Pooja, Tehi Sam Dhany Aur Nahi Dooja.
Pratidin Paath Karei Man Maahi, Un Sam Kou Jag Me Kahu Naahi.
Bahuvidhi Kya Mein Karau Badaai, Ley Pariksha Dhyaan Lagaai.
Kari Vishvaas Karei Vrat Nema, Hoy Siddh Upajei Ur Prema.
Jay Jay Jay Lakshmi Bhavaani, Sab Mein Vyaapit Ho Gun Khaani.
Tumharo Tej Prabal Jag Maahi, Tum Sam Kou Dayaalu Kahu Naahi.
Mohi Anaath Ki Sudhi Ab Lijei, Sankat Kaati Bhakti Mohi Dijei.
Bhool Chook Kari Kshama Hamaari, Darshan Dijei Dasha Nihaari.
Bin Darshan Vyaakul Adhikaari, Tumahi Akshat Dukh Sahate Bhaari.
Nahi Mohi Gyaan Buddhi Hai Tan Me, Sab Jaanat Ho Apane Man Me.
Roop Chaturbhuj Karake Dhaaran, Kasht Mor Ab Karahu Nivaaran.
Kehi Prakaar Mein Karau Badaai, Gyaan Buddhi Mohi Nahi Adhikaai.

Doha
Traahi-Traahi Dukh Haarini, Haro Begi Sab Traas,
Jayati-Jayati Jay Lakshmi, Karo Shatru Ka Naash.
Ramdas Dhari Dhyaan Nit, Vinay Karat Kar Jor,
Maatu Lakshmi Daas Par, Karahu Daya Ki Kor.
***
----------------------------------------------------
If you can not read Hindi text below properly
please click here to download Hindi Font (Mangal).
------------------------------------------------------
श्री लक्ष्मी चालीसा
~~~
॥ दोहा ॥

मातु लक्ष्मी करि कृपा, करो हृदय में बास ।
मनोकामना सिद्ध करि, पुरवहु मेरी आस ॥

॥ सोरठा ॥

यही मोर अरदास, हाथ जोद विनती करूं ।
सब विधि करौ सुपास, जय जननी जगदम्बिका ॥

सिन्धु सुता मैं सुमिरौं तोही । ज्ञान बुद्धि विद्या दो मोही ॥
तुम समान नहिं कोउ उपकारी । सब विधि पुरवहु आस हमारी ॥
जै जै जै जननी जगदम्बा । सबकी तुम ही हो अवलम्बा ॥
तुम ही हो घट घट की वासी । विनती यही हमारी खासी ॥
जग जननी जय सिन्धु कुमारी । दीनन की तुम हो हितकारी ॥
विनवौं नित्य तुमहिं महरानी । कृपा करौ जग जननि भवानी ॥
केहि विधि स्तुति करौं तिहारी । सुधि लीजै अपराध बिसारी ॥
कृपा दृष्टि चितवौ मम ओरी । जग जननी विनती मोरी ॥
ज्ञान बुद्धि जय सुख की दाता । संकट हरो हमारी माता ॥
क्षीर सिन्धु जब विष्णु मथायो । चौदह रत्न सिन्धु में पायो ॥
चौदह रत्न में तुम सुख्ररासी । सेवा कियो प्रभू बन दासी ॥
जब जब जन्म जहां प्रभु लीन्हा । रूप बदल तहं सेवा कीन्हा ॥
स्वयं विष्णु जब नर तनु धारा । लीन्हेउ अवधपुरी अवतारा ॥
तब तुम प्रगट जनक्पुर माहीं । सेवा कियो हृदय पुलकाहीं ॥
अपनाया तोहि अन्तर्यामी । विश्वविदित त्रिभुवन की स्वामी ॥
तुम सम प्रबल शक्ति नहिं आनी । कहंलौ महिमा कहौं बखानी ॥
मन क्रम वचन करै सेवकाई । मन इच्छित वांछित फल पाई ॥
तजि छल कपट और चतुराई । पूजहिं विविध भांति मन लाई ॥
और हाल मैं कहौं बिझाई । जो यह पाठ करै मन लाई ॥
ताको कोई कष्ट न होई । मन इच्छित पावै फल सोई ॥
त्राहि त्राहि जय दुःख निवारिणि । त्रिविध ताप भव बंधन हारिणि ॥
जो यह पढ़े और पढ़ावै । ध्यान लगाकर सुनै सुनावै ॥
ताको कोइ न रोग सतावै । पुत्रादिक धन सम्पति पावै ॥
पुत्रहीन अरू संपतिहीना । अन्ध बधिर कोढ़ी अति दीना ॥
विप्र बोलाय कै पाठ करावै । शंका दिल में कभी न लावै ॥
पाठ करावै दिन चालीसा । ता पर कृपा करैं गौरीशा ॥
सुख सम्पत्ति बहुत सी पावै । कमी नहीं काहू की आवै ॥
बारह मास करै जो पूजा । तेहि सम धन्य और नहिं दूजा ॥
प्रतिदिन पाठ करै मन माहीं । उन सम कोउ जग में कहुं नाहीं ॥
बहुविधि क्या मैं करौं बड़ाई । लेय परीक्षा ध्यान लगाई ॥
करि विश्वास करै व्रत नेमा । होय सिद्ध उपजै उर प्रेमा ॥
जय जय जय लक्ष्मी भवानी । सब में व्यापित हो गुण खानी ॥
तुम्हरो तेज प्रबल जग माहीं । तुम सम कोउ दयालु कहुं नाहीं ॥
मोहिं अनाथ की सुधि अब लीजै । संकट काटि भक्ति मोहिं दीजै ॥
भूल चूक करि क्षमा हमारी । दर्शन दीजै दशा निहारी ॥
बिन दर्शन व्याकुल अधिकारी । तुमहिं अक्षत दुःख सहते भारी ॥
नहिं मोहिं ज्ञान बुद्धि है तन में । सब जानत हो अपने मन में ॥
रूप चतुर्भुज करके धारण । कष्ट मोर अब करहु निवारण ॥
केहि प्रकार मैं करौं बड़ाई । ज्ञान बुद्धि मोहिं नहिं अधिकाई ॥

॥ दोहा ॥

त्राहि-त्राहि दुःख हारिणी, हरो बेगि सब त्रास ।
जयति-जयति जय लक्ष्मी, करो शत्रु का नाश ॥
रामदास धरि ध्यान नित, विनय करत कर जोर ।
मातु लक्ष्मी दास पर, करहु दया की कोर ॥
॥इति श्री लक्ष्मी चालीसा॥
***
-------------------------------------------------
Please see
INDEX for more aartis & chalisa.
-----------------------------------------------------------

1 comment:

Vidz said...

Thank u very much.